Poetry

KOI TO HOTA…. mai jis k dil ki kitaab benta mai jis ki chahet ka khawab benta mai hijr k mosem ki lembi raaton mein yaad ben ker azaab benta KOI TO HOTA….. jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota mai rooth jata manata mujh ko k chahe mera kasoor hota KOI TO HOTA…. mai jis k itna kareeb hota na paas koi rakeeb hota mai itna uus ka habeeb hota ye silsila bhi ajeeb hota KOI TO HOTA……..

……………………………………..

“Roses are exclusively for 

a nice person like U

from a simple person like ME

keep this rose until they DRY,

but keep my friendship untill I DIE.”

…………………………………..

***Hum ne khud me us Ko Paroya hai…!!!
***TASBEEH k dano Ke Tarha…!!! 

***Toty agr hum to Bikhr Wo B jaye ga…!!!

…………………………………..

***Tm se milta hun to iss soch main par jata hun…!!!
***Wakt k paaun main zanjeer main dalun kesay ??….

……………………………………..

Aina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho 

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho

Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho

…………………………………….

***Ya germi-e-bazar thi ya khoof-e-ziyaan tha…!!!
***Phir baich diya muj ko khareedar ney mere..!!!
*
*
***Main ny jab yad keya, yad wo aaya mujh ko…!!!
***Is sy zyada usay Paband-e-Wfa kia krna…!

……………………………………..

***wo jo preshan chak gryban…!!!
*** abhi is rah sy gzra hai…!!!
***us awara dewany ko…!!!
*** jalib jalib kehty hain…!!!

…………………………………….

Teri ek hasi pe ye dil qurbaan kar jaon , 

Aitraaz na ho agar to tera dil chura le jaon ,

Na behne don kabhi in aakho se aansu ,

Tu kahe to tere saare sitam sah jaon ,
Hasta hua rakhon tere labo ko hamesha ,

Choom kar jinhe woh pyaari muskaan de jaon ,

Seene se laga ke rakhon tumhe ,

mann to karta hai tujhme sama jaon .
Sunta hi rahon tumhari dhadkano ko ,

aur apne dil ki har baat kah jaon ,

gum ko kabhi kareeb na aane don ,

aur tumhe zindage ki khushiyan tamaam de jaon , !!

…………………………………..

Chalo k shaam hui ab k loat’na hai mujhe_._._._._._._, 

K mery ghar per muntazir hai tanhai meri_._._._._._._.

…………………………………..

APne HasEEn HontOn Ko Kisi Cheez Say Chupa Liya KaroO…!! 

~~ JanaN ~~

Hum GUSTAAKH Log Hain NazrO Se Choom Liya Karte Hain..

(¯`v´¯)
:`*.¸.*´
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•¸.•¨¯`• — ღ °♥Zaib♥°ღ

……………………………………..

***chahat k chiraghon me yehi,
*** ajeeb baat hai MOHSIN…!!!
***bujh jatey hain mgar,
*** madham nahe hotay…!!!

…………………………………

نہ کوئی رنگ، نہ ہاتھوں میں حنا، میرے بعد
وہ مکمل ہی سیہ پوش ہوا میرے بعد 

لےکے جاتا رہا ہر شام وہ پھول اور چراغ
بس یہی اس نے کیا، جتنا جیا میرے بعد

روز جا کر وہ سمندر کے کنارے چپ چاپ
ناؤ کاغذ کی بہاتا ہی رہا میرے بعد

اس کے ہونٹوں سے مرا نام نکل جاتا تھا
جس نے اپنایا اسے ،چھوڑدیا میرے بعد

اک پرندہ جو بلاتا تھا اسے میری طرح
وہ پرندہ بھی قفس میں نہ رہا میرے بعد

میں نے گرنے نہ دیئے تھے کبھی آنسو اس کے
شاید اس واسطے وہ رو نہ سکا میرے بعد

میں بھی ویسا نہ رہا اس کے بچھڑ جانے سے
کوئی اس کو بھی نہ پہچان سکا میرے بعد

ساری دنیا نے اسے مالِ غنیمت سمجھا
جو نہ سوچا تھا کبھی، وہ بھی ہوا میرے بعد

اس کا ہنسنا مجھے بھاتا تھا سو وہ شخص عدیم
بال کھولے ہوئے ہنستا ہی رہا میرے بعد

………………………………….

Koi to mere khayalon ko chahney wala ho,
Muhabbaton ke khazaney lutaaney wala ho..! 

Us ek shaks ko duniya ki her khushi de dun,
Jo mere dard ko apna bananey wala ho..!

Mujhe bhi apni wafaoun pe naaz hai lekin,
Yahan koi to wafa azmaney wala ho..!

Jise aziz ho duniya udhar ka rukh ker le,
Yahan wo aaye jo duniya lutaney wala ho..!

Khuda gawah hai ke bari mushkilon se milta hai,
Wo ek dil jo muhabbat nibhaney wala ho !!

…………………………………

 

Tujhe kho bhi nahi Saktay, tera ho bhi nahi Sakte,
Ye kaisi bebasi hai aaj ham ro b nahi saktay, 

Ye kaisa dard ha pal pal hamain tarpai rakta hai,
tumhari yaad aati hai tu phir so be nhi saktay

Chupa saktay hain aur na hum dekha saktay hain logon ko,
Kuch aisay daaga hain dil par jo hum dho be nhi saktay,

kaha tha chor daingay ye nagar, phir ruk gay lakin,
Tumhain pa tu nahi saktay magar kho bhi nahi saktay.

…………………………….

hum khud ko mohabbat me uhi saza dete h.
Naam likhte h tera aur likh kar mita dete h.
Tu door bahut nazro ki hado se lekin.
Phir bhi hum tuje jeene ki dua dete hai..
Tum b chahogi hame ye to khuda jane..
…Hum tumse mohabbat karte h ye bata dete h..
Aur jab tanhai me yaad teri ati hai..
To khak p teri tasveer bana dete hai…

………………………………

Aankh Ne Raat Jab Ek Chand Mukamal Dekha

Phir Samandr Ko B Hote Hoe Pagal Dekha

Raat Bh’r Dair Talak Ki Teri Baatein Khud Se

Raat Bh’r Samny Chehra Tera Pal Pal Dekha

Aaj Yaadon Ki Ghata Tot K Barsi Dil Pe

Aaj Hum Ne B Barasta Hua Badal Dekha

Hafza Cheen Liya Hum Se Gham e Dunya Ne

Aaj Hum Bhol Gaye Usko Jise Kal Dekha

Ek chehra jo Bohat Hansta Tha
“d0sT”

Aaj Uski Aankhon Se B Behta Kajal Dekha

………………………………..

masum mohabbat ka itna sa fasana h…
Kagaz ki haveli h barish ka zamana hai…
Kya sharte mohabbat h, kya sharte zamana h..
Awaz bhi zakhmi h aur geet b gaha h..
Wo samjhe ya na samjhe andaze mohabbat ka..
…Ek shaks ki ankho se ek sher sunana h..
Bholi si ada koi phir ishq zid par hai..
Ek aag ka dariya h, aur doob k jana h..

……………………………..

……………………………………..

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main
Woh apna aks chore gayi mere khuwaab main

Ab tak woh mere zehen main uljha sawaal hai
Shaamil rahi jo har ghari mere nisaab main

Aankhon main neend hai na koi khuwaab door tak
Rehte hain hum bhi aaj kal waise azaab main

Milta hai gardishon se gale lag ke chaand bhi
Aaye the simat ke faasle kitne saraab main

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila
Likha na aik harf bhi us ne jawaab main

………………………

Zakhm_e_Tanhai Mein Khushbo_e_HinA Kis Ki Thi
Saaya Deevar Per Mera Tha, Sada Kis Ki Thi

Os ki Raftaar Say Lipti Raheen Ankhein Meri
Os Ne Murr Kar Bhi Na Dekha k Wafa Kis Ki Thi

Ansuon Say He Bhar Gaya Daaman Mera
Haath To Main Ne Uthaaya Tha, Dua Kis Ki Thi

Meri Aahon Ki Zaban Koi Samjhta Kaisay?
Zindagi Etni Dukhi Meray Siva Kis Ki Thi

Aag Say Dosti Os Ki Thi, JaLa Ghar Mera
Dee Gai Kiss Ko Saza, Aur Khata Kis Ki Thi . . .

…………………………….

Main Roi To Nahi Ho……              

Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Aksar Phail Jata Hai

Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak

Main Roi To Nahi Hoon……

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo

Main Roi To Nahi Hoon……

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai

Main Roi To Nahi Hoon……

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Mai Dekho

Main Roi To Nahin Hoon…..

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin

Main Roi To Nahin Hoon…..

……………………………………..

Barish ka bara ma poem

Rut ki pehli shararat mein

khuley aasman taley

badiloon ki chatri aurhey

thandi hawa ki athkelion mien

neher kinaarey lambi serrk pey

matti ki khushbu key sang

barish key jhoomtey naachtey qatrey saath liey

door tak chalna

kitna acha lagga

teri sangat mein

 

………………………..

Wo muskura ke dard taal deta ha, Kisi kisi ko Khua yah kamal deta ha, Nazar utha ke kise ko woh dekh ley eak bar, Yaqen Karo usey muskil mian daal deta hai,

………………………….

Ae Dost kabi na bhool sakee mein mela teri basti ka, mein tujh se kesay door rahoon tu hisa meri hasti ka, ae logo na israr karo wo mujh se mil na paye ga, wo chand zameen pe utray kion wo aadi hai kab pasti ka

…………………….

In The Flower My Rose Is You, In The Diamond My Kohinoor Is You, In The Sky My Moon Is You, I’m Only Body My Heart Is You, That’s Why I Always MISS YOU

……………………

Zindagi behaal hai, Sur hai naa taal hai, Msgbox bhi kangal hai, Kya aapki sms factory me hartal hai, Yaar kuch to bhejo ye meri mobile ki zindagi ka sawaal hai

…………………

chandni rattein me koi bulata hai hame, na chah kar bhi koi rulta hai hame, Is Dil ko kaise samjhaye , jisse raat din yaad karte hai hum, vahi rukruk kar rulata hai hume

… ……………………

Close ur eyes and make a wish, angels wil b there 2 blow u a kiss. They’l guide u and make all ur dreams come true like they did 4 me. When i asked a frind like u.

……………………….

Dua hai Ki Kamyabi ke har sikhar pe aap ka naam hoga, aapke har kadam par duniya ka salam hoga, Himat se mushkilon ka samana karna hamari dua hai ki waqt bhi ek din aapka gulam hoga. Happy Birthday

……………………..

Dil ki Batain bata deti hain Aankhein Dhadkanon ko Jaga deti hain, Aankhein Dil pe chalta nahi Jadoo Chehron ka kabhi Dil ko tu Deewana bana deti hain Aankhein Woh hum se baat nahi karti tu na kare Haal sara un ke dil ka Suna deti hain Aankhein Gham sada rehta nahi Aadmi ke saath Ashk bana kar Chalka deti hain Aankhein Aata hai jab dor – e – Jawani , tu aye Dosto Sunder Sapne Zehan main Basa deti hain Aankhein Mana ke Neend aati hai Aankhon hi ke raste Magar kabhi kabar Neend uda deti hain Aankhein

…………………….

Yakin mano wo maut bhi badi suhani hogi, jisme hamari mohabat virani hogi, chalo wada raha tumse pehle hum jaenge, kyoki tumare swagat ki rasm bhi to nibhani hogi…

………………………..

Khamoshiyaan teri mujh se baat karti hai, Tera har dard samajhti hai, Pata hai majboor tu bhi aur me bhi, Phir bhi aankhe didaar ko tarasti hai… Dosti humari ibaadat hai aap ki, Ankho se pyaar jatana aadat hai aap ki, Apne pyaar ko nazar naa lage, Chupa kar rakho ye bhi to nasihat hai aap ki.

……………………..

Woh dosti kya jiss ko nibhana pade, Woh pyaar kya jiss ko jatana pade, Yeh to ek khamosh ehsaas hai, Woh ehsaas hi kya jiss ko lafzo me batana pade.

……………………

Wada hai Mera Janaa!!, Tera saath nibhaooga Chahe parey Marjana, Tera saath nibhaooga Haathon mai Haath lye Ae Hamdam-e-Dereena! Ban ker Tera Pawana, Tera saath nibhaooga Ruswai to hoti hai Ishq-o-Mohabbat mai lekin Na ker Khauf, Hoon Tera Deewana, Tera saath nibhaooga Baton hi Baton mai, Shairon ki Soorat mai Inta hai batlana, Tera saath nibhaooga Ishq Mera Sadiq hai, kardoonga yeh Saabit Ban k Mai Parwana, Tera saath nibhaooga Qaul-o-Qarar Mere jhootey hargiz nahi, Meri Janaa!! Tum ko hai ye Samjaha, Tera saath nibhaooga Tere Naam ka Dunya Ae Shayar ‘SaaMer’ Jee Seh loonga her Ta’ana, Tera saath nibhaooga

……………………..

Dua ko hath uthain.. Dua ko hath uthain tou dil larazta hai k par na jaye khud apni nazar wahan k jahan naseeb likha gaya patharon k harfon say hathelion ki lakeeron k siah khalaon main kabhe shabon k kisi karbnaak lamhay main koi karah jo aa jaye bhool kar lab pay tou hoal hoal say jatay hain hoaslay saray k taar taar sama’at k zakham pehlay he dukhay hoay hain sadaon ki naarsaie say kaisay batayen k jeewan k kaarzaar main hum ajeeb haray hoay log hain k har lamha shikast-e-zaat ki tasweer main muqeed hain janam lia hai tou ab tak kai zamano say hum ik tay shuda tadeer main muqeed hain.

……………………

aankhain jab band kia kartay hain samnay aap he hoa kartay hain aap jaisa he mujhe lagta hai khuwab main jis say mila kartay hain to agar chor kar jata bhe hai tou kia? hadsay roz hoa kartay hain naam un ka,na koi un ka pata log jo dil main raha kartay hain hum nay rahi ka chalan seekh lia hum akailay he chala karatay hain

…………………..

Chupke se koi dil mein sama jata hai.. Jaise hume tadpaane mein mazaa aata hai.. Koi itna dard de jaata hai.. Par kambakht dil ko ussi pe hi pyaar aata hai..

……………………….

TERAY AKS SE AB ISS TARRAH MULAQAAT HOTEE HAY JESAY SAWAN K SATH BARSAAT HOTEE HAY YAADO MAIN AKSAR ISS TARRAH KHHO JATAY HAIN PATTA HE NAHEE KAB DIN OR KAB RAAT HOTEE HAY More…………….

…………………………..

Chand adhura hai sitaro ke bina, gulshan adhura hai bahaaro ke bina, samundar adhura hau kinaro ke bina, jeena adhura hai tum jaise yaaro ke bina!!!

…………………………

ess saal ki aakhri dhalti shaam key saath

teri yaddon key sooraj ko bhi alwida ker doon ga

 

 

……………………….

ab key baad rat-jagoon ka yeh safar

chaand ko tanha hi taye kerna ho ga.

 

 

………………………

mein terey jhootey sachey lafzoon sey banney

kachey pakkey rishtun ki kamzoor doori ko

key jissey joortey joortey khud toot gya hoon

ussey khud hi toor daloon ga

key bohat jheel lia dard

teri majboorion key hijaboon ka

kissi kitab mein rakh key

bhooley hovey murjhaye gulaboon ka

 

…………………………

yaqeee’N aur bey yaqeeni ki

aankh machooli sey bantey

taptey hovey siraboon ka

 

……………………….

teri wapsi ki rah takti

pathrayee hoi aankhoon ki palkoon per

bikhrey hovey chand khawaboon ka

na khatam hooney waley azaaboon ka

 

………………………..

ab ki baar khushion ki pehli kirn

merey dil mein phootey gi

aur naye saal ki pehli sehar

merey ander key sab aansoo nikaal ker

dharti ki goud shabnam sey bher dey gi

 

………………………..       

Leave a comment